'Gin' ki jannat se pehli mulakat hui,
Rangon se bhara raha din,
Sitarein se raat do-char hui.
Hathon mein hath liye yeh nain kho gye un nigahon mein,
Na khabar waqt ki, na duniya ka pata,
Gum gye kahin un bahaon mein.
Bekrar thi, madhosh thi,
Ek dusre mein hone ko tadap rahi,
Woh do jawan dhadkan thi.
Irada to juda na hone ka tha,
Afsos roshni ne sath na diya,
Chandni ki dastak hui aur chand ne alag karna shuru kar diya.
Gum-e-judai se ranjish badi, to haar kar aansoon ne dam bhar liya,
Mulakat-e-jannat ka ek aur waada kar,
'Gin' ke khuda ne apne jahan ka rukh kar liya.
1 comment:
Last passage is outstanding.
Post a Comment