Monday 31 January 2011

Mohabbat itni hai...

Mohabbat itni hai tumse,
Ke mein khud se jalne laga hun.

Fikr apne se bahut zyada hai teri,
Shayad ab hadd se nikalne laga hun.

Surat aankhon mein jam gayi hai teri,
Afsos, taarif karne walon se bhi rashq karne laga hun...

Sunday 2 January 2011

Har ada dekhi...

Wafa dekhi, Jafa dekhi,
Iss duniya ki har ada dekhi.

Koi dikha wafadaar,
To, kisi ke jism mein bewafai dekhi.

Nazrein dekhi, kayee Chehre pade,
Zikr fitrat ka hua, To insaano ki shakl mein sirf tabahi dekhi.

Saturday 1 January 2011

Kya ho gaya?

Gire hum wahan par,
Jahan lamba safar khatam ho gaya.

Uthne ka mauka hi na mila,
Ki agle safar ka aagaz ho gaya.

Beech majhdhaar mein fasa yeh 'Gin',
Jaane kon sa naya, aur kon sa saal purana ho gaya ?