Monday, 23 August 2010

'Gin' ki jannat se pehli mulakat.

'Gin' ki jannat se pehli mulakat hui,
Rangon se bhara raha din,
Sitarein se raat do-char hui.

Hathon mein hath liye yeh nain kho gye un nigahon mein,
Na khabar waqt ki, na duniya ka pata,
Gum gye kahin un bahaon mein.

Bekrar thi, madhosh thi,
Ek dusre mein hone ko tadap rahi,
Woh do jawan dhadkan thi.

Irada to juda na hone ka tha,
Afsos roshni ne sath na diya,
Chandni ki dastak hui aur chand ne alag karna shuru kar diya.

Gum-e-judai se ranjish badi, to haar kar aansoon ne dam bhar liya,
Mulakat-e-jannat ka ek aur waada kar,
'Gin' ke khuda ne apne jahan ka rukh kar liya.

Thursday, 19 August 2010

Mast maula meri zindagi...

Mast maula meri zindagi,
Yaaron se mukkamal ho gayi.

Ek darkhat aur uski panah,
Pal-do-pal masti ho gayi.

Bewaqt aur bewajah,
Zamane se mohabbat ho gayi.

Koi na saaki mera,
'Gin' botal aur botal 'Gin' ki ho gayi.

Wednesday, 18 August 2010

Hum 'Gin' hain, par log hume 'Gin' bhi nahi mante....

Shaq hai humare azizon ko,
Shayad woh hume abhi theek se nahi pehchante.

Dard hai iss dil mein behisaab,
Pata nahi mere yaar mujhe kyun nahi mante

Kami na reh gayi ho meri mohabbat mein,
Sirat to chodiye, ab shayad woh meri surat bhi nahi jante.

Ghalib nahi, gulzar nahi, hum meer bhi nahi,
Kehte hain hum 'Gin' hain, par log hume 'Gin' bhi nahi mante.

Monday, 16 August 2010

Ek shokh rang.....khil aaya hai....

Ek shokh rang mohabbat ka,
Iss angan mein phir se khil aaya hai,

Uski khushboo se dil mera,
Muddaton baad shaad mein nahaya hai.

Ab kya shab aur kya saher,
Inn nigahon mein woh barabar utar aaya hai.

Saansein 'Gin' ki gawah hain,
Har pal dam-b-dam ussi ki yaad mein bitaya hai.

Sunday, 15 August 2010

It should be a "BLACK DAY"

Haal-e-mulq do lafzon mein ab kya bataein,
Ek taraf hai khali pet, To ek taraf zinda jal rahi hai chitaein.

Mausam ameeron ka to meharbaan hai,
Lekin alam tadapte gareebon ka ab hum kaise sunayein.
...
Aapne ird-gird nazrein zara ek dafa ghumaiye.
Desh ke kooche-kooche mein baitha garib, ab tumhe hum kaise dikhayen.

It should be a "BLACK DAY"

Waqt aazadi ka yaad aaya hai,
Zehan mein kholta hua khoon bhar aaya hai.

Zulmat mein guzra hai uss daur ka ek-ek din,
Aaina bhi mera aaj theek se ro nahi paaya hai.

Aazad jab hum bhi hue hain, woh bhi hue hain,
To phir yeh nazdeekiyan nafrat ki, dooriyan kahan se laya hai?

'Gin' ko jab bahut mile hain ulfat mein habib,
Phir Azaadi ke taufe mein, woh sarhad se dehshat akhir kyun laya hai?

Friday, 13 August 2010

To mein kya karun...???

Deewana hun iss khoobsurat zamane ka,
Ab koi aawara kahe...to mein kya karun?

Sitara hun inn roshan galiyaron ka,
Ab koi bechara kahe...to mein kya karun?

Ishq hun iss saari kaynaat ka,
Ab koi mujhse na kare...to mein kya karun?

Nishana hun har kaatil nigahon ka,
Ab koi katl na kare...to mein kya karun...???

Tuesday, 10 August 2010

अभी और जलेगा ये मेरा जहाँ !

मुल्क़ की फिज़ा में ऐसे तैर रहा है भ्रष्टाचार,
जैसे गली-गली बिकता है, कोड़ियों के भाव तीखा आचार.

वक़्त की स्याही भी पड़ गयी है फीकी इसके आगे,
क़ब्र इंसानियत की सिल डाली है, लगाकर इसने काले धागे.

छलनी इससे हम हुए-तुम हुए, समूचा देश हुआ,
बनता गया ज़माना सारा, इसके लिए एक अनंत जुआ.

कौन कमबख्त कहता है होंगे माकूल मौसम यहाँ,
चिताएं जलेंगी, कब्रें खुदेंगी, अभी और जलेगा ये मेरा जहाँ....

Monday, 9 August 2010

no. 'ek' aur no. 'do'

Muddatein beet gayi par no. 'ek' aur no. 'do'....aaj bhi wahin ka wahin hai....isliye uss par kehna hai....

"Ek ka 'ek' sahi, do ka 'do' wahin,
Muhane par pahunchte hain zalim sab ke sabhi.

Desh apna ho...to baat wakiye mein alag hai,
'Ek' ho ya 'do'....fark behad hi kam hai.

Aap jaan 'ek' lijiye...ya jaan 'do' dijiye,
Tarazu insaaf ka...'ek' ho ya 'do'....sab iss zindagi ke baad kijiye..."

Wednesday, 4 August 2010

Aaj jee chahta hai....

Kalamband hone ko aaj jee chahta hai,
Rafeeq-raqeeb bahut hue,
Aaj apni sirat ko in lafzon mein pirone ko jee chahta hai.

Aksar kayee aaftab keh jaate hain mujhko,
Aaj wakiye mein,
Aaftab banne ko jee chahta hai.

Meri kayee aadaton ko hi meri khamiyan batate hain woh,
Nazarandaaz bahut hua,
Aaj unn khamiyon ko khaak banane ko jee chahta hai.

Bachpan se ammi meri ibadat sikha rahi hai,
Thukrana bahut hua,
Bakhuda aaj khuda apnane ko jee chahta hai.....