Friday, 3 December 2010

रोएंगी आज ये आँखें...

रोएंगी आज ये आँखें, समंदर की तरह,
तड़पायेंगी उसकी बातें, गुज़रे वक़्त की तरह.

इक मुद्दत बाद संजोया था, जो इश्क हमने,
भिखरेगा वो आज, खून के लावारिस कतरों की तरह.

दिल तो कब का निकल चूका था, इस जिस्म से,
अफ़सोस आज निकलेगी जान, कब्र पर मुरझाए फूलों की तरह...

इश्क, मोहब्बत और प्यार...

इश्क, मोहब्बत और प्यार,
धोखा, फ़रेब और मेरा यार.

घबराती निगाहें और डरावने ख़्वाब,
कल की फ़िक्र और वही स्याह किताब.

रोज़ का पैगाम और रात के जाम,
इक तस्वीर और नाजाने कितनों के नाम.

Phir hum nahi....

Mera "Ishq" intiha hai,
Uske "Rashq" ki qabargaah hai.

Hum peeth peeche "Itrate" nahi,
Khule "Falak" se kabhi ghabrate nahi.

Dil cheer lo to "Gum nahi",
"Wada hai", Jalne walon ki kabr par phir hum nahi..

Sab kafur ho gaye.

Shab guzri,
Meri tarah, sab tanha ho gaye !

Sehar aayi,
Anjaane mein, sab mehfil ho gaye.

Sawaal aaya,
Akhir kyun, sab ek jaise ho gaye?

Waqt beeta,
Sawaal-jawaab, sab kafur ho gaye.

Shayad yeh "Hindustan" nahi...

Nasha hai sab mein be-intiha,
Par nasha samjhna sab mein, shayad yeh naseeb nahi.

Dil ki dhadkan hai sab mein apaar,
Par ishq vaas kare sab mein, shayad yeh mumkin nahi.

Waqt aur kabiliyat, dono hai sab mein barabar.
Par barabar se istemal ho sab mein, shayad yeh jannat nahi.

Zarra-Zarra sansein, maujud hai sab mein bamushkil,
Par pak fiza mehsus ho sab mein, shayad yeh "Hindustan" nahi

Shaitan kehte hain !

Jo aks hai khud ka,
Use log khuda kehte hain.

Yeh fitrat hai insaan ki,
Jise sab haivan kehte hain.

Yahi aaina hai yaaron hum sab ka,
Afsos ise bhi hum shaitan kehte hain

Tuesday, 26 October 2010

Ruko zara...zara ruk jao.

Ruko zara, zara to ruk jao,
Mein peeche hun, zara peeche aa jao.

Thak gaya hun, ab bhag-bhagkar,
Tham jao, aaj zara sa tham jao.
...
Ishq adhura hai, aaj bhi mera,
Reham karo, bas aaj use poora kar jao.

Maut aa jaye, gar aati hai to,
Itna karo aaj, kafan mein bas...apni ik tasveer chodd jao.

Bade bereham hai....

Bade bereham hai zamane wale,
Jitne sache hone aap, utna hi dhokha aksar khayenge.

Jhooth se jitni door koshish karenge bhagne ki,
Utna hi jhooth aapko, yeh kambhakht har pal sunayenge.

Dabayenge yeh sab aapko, rishton ki duhai baar-baar dekar,
Afsos, chalawa hai fitrat inki, chalawe par hi kabr apni yeh zarur khudwayenge.

Tuesday, 12 October 2010

Kya hai aakhir ?

Hal kya hai iss haal ka aakhir?
Mere yaar,
Jawaab kya hai iss sawaal ka aakhir?

Andhergardi chaayi hai doob-doobkar,
Mere yaar,
Roshni ka surat-e-mizaj kya hai aakhir?

Ik taraf mere jaise behisaab hain,
Mere yaar,
Doosri taraf, Bakiyon ka hisaab kya hai aakhir?

Dhokha-fareb-matlab, sab barabar hai yahan,
Mere yaar,
Sachai-imandaari ki kadr baki kya hai aakhir?

Monday, 11 October 2010

Ishq....lad-ladkar maalum hua hai....

Ishq aakhir hai kya?
Yeh lad-ladkar maalum hua hai.

Ab kya aag ka dariya aur kya subah ki shabnam,
Yeh to gehraion tak ab kahin pata chala hai.

Khabar nahi, ki mohabbat adawat hai ya rafakat,
Nachahte hue bhi, bekhabar rehna hi hume ab naseeb hua hai...

Monday, 4 October 2010

हम नहीं जानते....

'रुकन' से हमारा वास्ता नहीं,
'काफ़िया' क्या है, ये हम नहीं जानते.

अल्फ़ाज़-दर-अल्फ़ाज़ बढ़ रही है कलम हमारी,
जानकार बताते हैं, तुम लिखना ही नहीं जानते.

कई दफ़ा झूठी तारीफ़ करते हैं वो शायद,
कितनी और होगी तोहीन, अफ़सोस अब हम ये भी नहीं जानते...

Thursday, 30 September 2010

AKhir kyun, akhir kyun??? Yahi afsos hai....

Afsos iska nahi ki kaun jeeta,
Afsos iska hai ke jeet kiski hui?

Faisla kya hua isse matlab nahi,
Akhir kiya kisne, ye hakkikat hajam nahi hui?

Parvar digar ko manne wale agar usi ko mukkamal jahan kehte hain,
To phir kyun akhir, ussi ke jahan ke liye, woh mukhalfat ussi ki karte hain?

Barson se sunte aaye hain, natija kal ke liye hota hai,
Phir natije mein haar ya jeet, guzre waqt ki akhir, kyun woh aksar barabar karte hain.....

Monday, 23 August 2010

'Gin' ki jannat se pehli mulakat.

'Gin' ki jannat se pehli mulakat hui,
Rangon se bhara raha din,
Sitarein se raat do-char hui.

Hathon mein hath liye yeh nain kho gye un nigahon mein,
Na khabar waqt ki, na duniya ka pata,
Gum gye kahin un bahaon mein.

Bekrar thi, madhosh thi,
Ek dusre mein hone ko tadap rahi,
Woh do jawan dhadkan thi.

Irada to juda na hone ka tha,
Afsos roshni ne sath na diya,
Chandni ki dastak hui aur chand ne alag karna shuru kar diya.

Gum-e-judai se ranjish badi, to haar kar aansoon ne dam bhar liya,
Mulakat-e-jannat ka ek aur waada kar,
'Gin' ke khuda ne apne jahan ka rukh kar liya.

Thursday, 19 August 2010

Mast maula meri zindagi...

Mast maula meri zindagi,
Yaaron se mukkamal ho gayi.

Ek darkhat aur uski panah,
Pal-do-pal masti ho gayi.

Bewaqt aur bewajah,
Zamane se mohabbat ho gayi.

Koi na saaki mera,
'Gin' botal aur botal 'Gin' ki ho gayi.

Wednesday, 18 August 2010

Hum 'Gin' hain, par log hume 'Gin' bhi nahi mante....

Shaq hai humare azizon ko,
Shayad woh hume abhi theek se nahi pehchante.

Dard hai iss dil mein behisaab,
Pata nahi mere yaar mujhe kyun nahi mante

Kami na reh gayi ho meri mohabbat mein,
Sirat to chodiye, ab shayad woh meri surat bhi nahi jante.

Ghalib nahi, gulzar nahi, hum meer bhi nahi,
Kehte hain hum 'Gin' hain, par log hume 'Gin' bhi nahi mante.