Monday 11 October 2010

Ishq....lad-ladkar maalum hua hai....

Ishq aakhir hai kya?
Yeh lad-ladkar maalum hua hai.

Ab kya aag ka dariya aur kya subah ki shabnam,
Yeh to gehraion tak ab kahin pata chala hai.

Khabar nahi, ki mohabbat adawat hai ya rafakat,
Nachahte hue bhi, bekhabar rehna hi hume ab naseeb hua hai...

No comments: