Thursday 29 July 2010

Ab to waqt hai intkaam ka...

Ishq chodiye, ab to waqt hai intkaam ka,
Meharbaan bahut hue,
Ab to alam hai uss bewafa ke hisab ka.

Bewajah ab ashq aur mat bahiye,
Tute afsane bahut hue,
Ab to mauka hai kambhakhat ke benaqab ka.

Sahma-sahma hai ab yaar mera,
Woh din guzar gaye,
Ab to shayad use bhi darr hai hamare jawaab ka..

No comments: