Saturday, 3 August 2013

त्रासदी

पहाड़ की परछाई में,
मौत का मंज़र है ।

ग़म की गहराई में,
ख़ौफ़ का खंजर है ।

शॉल की शक्ल में,
काले रंग का कफ़न है ।

मन्नत मांगने वाला,
मंदिर में ही दफ़न है ।

Friday, 2 September 2011

Ek zinda laash padi hai...

Haiwano ki jamat jami hai,
Har mod, har kooche par khadi hai.

Laakhon ki zindagi barbaad hui,
Laakhon hone ko...abhi bachi hain.

Kissa kis-kis ka sunao,
Yahan to har aur....ek zinda laash padi hai...

Akhir maqsad kya hai ?

Ek shakl aur do akl,
Akhir irada kya hai ?

Ishq hai ya chhaliya hai,
Akhir majra kya hai ?

Maat hai ya maut hai,
Qaafir ka akhir maqsad kya hai ?

Dil ke darwaze...

Dil ke darwaze...sabhi band hai,
Kham-kha moo chidaye baithe hain.

Arsa beet gaya hai....cham-cham aawazon ko,
Aur hum hain, ki aaj bhi kaan lagaye baithe hain.

Sab chhin gaya...

Toote patton ki tarah,
Sab bikhar gaya.
Haath mein aaya gulab,
Achanak hi fisal gaya.

Marzi ne roka,
Khudgarzi ne toka,
Kuch na hote hue bhi,
Aaj sab chhin gaya...

Monday, 31 January 2011

Mohabbat itni hai...

Mohabbat itni hai tumse,
Ke mein khud se jalne laga hun.

Fikr apne se bahut zyada hai teri,
Shayad ab hadd se nikalne laga hun.

Surat aankhon mein jam gayi hai teri,
Afsos, taarif karne walon se bhi rashq karne laga hun...

Sunday, 2 January 2011

Har ada dekhi...

Wafa dekhi, Jafa dekhi,
Iss duniya ki har ada dekhi.

Koi dikha wafadaar,
To, kisi ke jism mein bewafai dekhi.

Nazrein dekhi, kayee Chehre pade,
Zikr fitrat ka hua, To insaano ki shakl mein sirf tabahi dekhi.

Saturday, 1 January 2011

Kya ho gaya?

Gire hum wahan par,
Jahan lamba safar khatam ho gaya.

Uthne ka mauka hi na mila,
Ki agle safar ka aagaz ho gaya.

Beech majhdhaar mein fasa yeh 'Gin',
Jaane kon sa naya, aur kon sa saal purana ho gaya ?

Friday, 3 December 2010

रोएंगी आज ये आँखें...

रोएंगी आज ये आँखें, समंदर की तरह,
तड़पायेंगी उसकी बातें, गुज़रे वक़्त की तरह.

इक मुद्दत बाद संजोया था, जो इश्क हमने,
भिखरेगा वो आज, खून के लावारिस कतरों की तरह.

दिल तो कब का निकल चूका था, इस जिस्म से,
अफ़सोस आज निकलेगी जान, कब्र पर मुरझाए फूलों की तरह...

इश्क, मोहब्बत और प्यार...

इश्क, मोहब्बत और प्यार,
धोखा, फ़रेब और मेरा यार.

घबराती निगाहें और डरावने ख़्वाब,
कल की फ़िक्र और वही स्याह किताब.

रोज़ का पैगाम और रात के जाम,
इक तस्वीर और नाजाने कितनों के नाम.

Phir hum nahi....

Mera "Ishq" intiha hai,
Uske "Rashq" ki qabargaah hai.

Hum peeth peeche "Itrate" nahi,
Khule "Falak" se kabhi ghabrate nahi.

Dil cheer lo to "Gum nahi",
"Wada hai", Jalne walon ki kabr par phir hum nahi..

Sab kafur ho gaye.

Shab guzri,
Meri tarah, sab tanha ho gaye !

Sehar aayi,
Anjaane mein, sab mehfil ho gaye.

Sawaal aaya,
Akhir kyun, sab ek jaise ho gaye?

Waqt beeta,
Sawaal-jawaab, sab kafur ho gaye.

Shayad yeh "Hindustan" nahi...

Nasha hai sab mein be-intiha,
Par nasha samjhna sab mein, shayad yeh naseeb nahi.

Dil ki dhadkan hai sab mein apaar,
Par ishq vaas kare sab mein, shayad yeh mumkin nahi.

Waqt aur kabiliyat, dono hai sab mein barabar.
Par barabar se istemal ho sab mein, shayad yeh jannat nahi.

Zarra-Zarra sansein, maujud hai sab mein bamushkil,
Par pak fiza mehsus ho sab mein, shayad yeh "Hindustan" nahi

Shaitan kehte hain !

Jo aks hai khud ka,
Use log khuda kehte hain.

Yeh fitrat hai insaan ki,
Jise sab haivan kehte hain.

Yahi aaina hai yaaron hum sab ka,
Afsos ise bhi hum shaitan kehte hain

Tuesday, 26 October 2010

Ruko zara...zara ruk jao.

Ruko zara, zara to ruk jao,
Mein peeche hun, zara peeche aa jao.

Thak gaya hun, ab bhag-bhagkar,
Tham jao, aaj zara sa tham jao.
...
Ishq adhura hai, aaj bhi mera,
Reham karo, bas aaj use poora kar jao.

Maut aa jaye, gar aati hai to,
Itna karo aaj, kafan mein bas...apni ik tasveer chodd jao.